Sunday 12 June 2011

Chapter 2 : Qissa Aik Raat Ka


12:02 am
0. Zawaal

Hui tareek nigahon say
Ojhal haqeeqat
Aur phel gaye shab kay saaye
Bujhti rahi andheron ki pyaas
Timtimanay lagay…
sitaron kay charagh
Khamoosh roshni, chan chan karti
Bikharti rahi khayalon pay…
Taareekh kay kirdaron pay…
Aur yaadon kay ada-kaar
Naye dhong racha kar
Bojhal palkon main…
Neend saja kar
Baandhnay lagay phir rakht-e-safar…

Koi rahguzar nahi...!
Koi chara gar nahi…!


12:20 am
1. Takmeel

Nazar kidhar
Chup chaap dekhti hay?
Khilaaon main pinhaan
Wo israar dekhti hay

Chaar deewari na kaho
Duniya hay yeh meri
Akeli si, anhoni si
Kesay angaaron main ghiri

Haan yeh sholay tanhaiyon kay
Is qafas ki laaj hain…
Gaye waqton ki yaad hain..

Tou bharkao in yaadon ko
Jo is raat ki tarah…
khamoosh…
Lapakti hain…
maazi kay aatish kadon say…
Jo in gulnaar khayalon ko
Naye makhmaleen khol charha kay
Siyaah lafzon kay libaday urha kay
Tareek rakhain gee

Kay anay walay
kisi rahro ko
Yeh khayal na aye…
Kay yahan…
Gosha nasheen koi
Fikar farosh kabhi tha…

Yaadon kay chilman say
Koi ankh na uthay
Is raat kay qafas say
Koi bhaag na sakay…

In adhoori kahaniyon ko
Takmeel tak puhnchayen…
Ik naya raasta dikhayen…
Aao kuch aur pareshaan ho jayen!



1:00 am
2. Shehzadi

Mar miti hay jin naqoosh pay
Wo raazdaan teray nahi
Jo khauf ka mayaar hain
Ik rait ki deewaar hain…

Azal say hay yeh rooh qaid
Aur khwaabnaak hain yeh pal
Nami jo ankh main rehti hay
Meri simt jo behti hay

Luta denay ko yoon tou
hain kayee raaz bay qarar
Kitnay chaand hain sapno kay
Kitnay ghum k sitaray hain

Yoon thum na jati meri saans
Jo tu itni inayat say…
Mujhay rubaru bithati
Aur yeh raat bikhar jati…

Kay pyaasay dil bhee hain
Aur yeh pal bhee…
Yeh chaand bhee, chilman bhee
Yeh jaan-ba-lub qaatil bhee
Hain saagar-o-sahil bhee
Wo bhee hay aur tum bhee…

Yeh junoon pyaas ko uksaye ga
Nayee roshni phailaye ga
Teri aankhon main sama jaye ga
Tujhay rangon main lay ayega
Aur khud fana ho jayega…!



1:31 am
3. Ahmaq

Dekho… zara yeh chehra bhee dekh lo
Kay kis ihtimaam say
Yeh hejaan sajaya hay!
Kia andaaz apnaya hay!
Kuch aur kaho… kia chupana chaho gay?
Kab tak na samajh pao gay?

Haan yeh thokar… is ka jashan manaoon?
Rangon main jhilmilaaon?
Khushi kay geet gungunaaon?

Dekho… zara yeh hansna bhee dekh lo
Jab aye ho yoon sanwar kay
In ankhon main khwaab bhar kay
Kay jinki takmeel… mera azm tha…
Yeh hansna… kisi maut say kia kum tha?
Kuch aur jo kami ho tou yeh rooh karoon nisaar?

Suno… zara in labon ki bhee sun lo
Jo teri tamanna main
In zakhmon ka zehr… choostay hain…
Aur khoon thooktay hain…

Yeh jo rah teri takta hay
Yeh jo tujh say wabista hay
Yeh jo teray sukh main hasta hay
Usi chehray main khuda basta hay

  

2:07 am
4. Mujrim/Anjaam

Adawat khuda say yoon tou
Niri insaniyat ko hay
Main nay jo baghawat ki…
Tou kia gunah kiya?

Qudrat ki muslehat say
Aik alam ko hay shikwa
Main nay jo shikayat ki…
Tou kia bura kiya?

Kia jano meray kurb ki
gehraiyon ko tum?
Kis ahsaas kay wazan talay
Yeh wajood dafan hay…

Karo roshni yahan
Parho dil say faatiha…

Kabhi pa kar jo na khoyee
Usi tabeer kay dum say
Main nay basti nayee basai…
Tou kia ghazab kiya?

Yeh duniya tou azal say
Hay kirno ki pujari
Ki main nay bhi in say paarsai…
Tou ki ghalat kia?

Kis moun say mujhay
detay ho jeenay ka hosla?
Kia jano meri zaat ki
Kotahiyon ko tum…

Yeh lehd tum sajao gay
Sureelay geet gao gay
Meray qissay suano gay
Phir bhool jao gay…

Aur main…
Yaheen bhatakta rahunga…



3:16 am
5. Baaghbaan

Wo kehtay hain kay main hoon
Aur wo hai yaheen
Rehtay hain tarsay dilon main
Haan wo hain yaheen

Koi aur…
Kyun na hota?

Jo muskura kar, kisi bhanwar ki tarha
Apni hee gehraiyon main doob jata
Aur kitna maza ata…

Sambhaltay hain jo hawaas
Wo meray nahi
Chalaktay yeh jazbaat
Hain meray nahi

Koi aur?
Kyun na hota?

Jo sar jhuka kay, kisi shikasta shajar ki tarha
Kisi cheekhtay sooraj ki bulandi ko choo leta
Aur zindagi jee leta…

Koi aur?
Koi aur… kyun na hota?
Jab main kabhi na tha…


  
3:53 am
6. Gehrai

Aik taraf hain chamakti lehrain
Kirno main dhali…
Aik taraf hain khata kay ansoo
Aur doobta admi…
Uthta hay wahem ka toofaan
Chalay malaal ki andhi…
Kon janay is lamhay ka
Kon hay qaidi?

Sada say hay arzoo…
Tujhay saahil bana loon
Magar main tou sagar nahi…

Khushk dil main bharta paani
Honton say chalkay
Ankhon ki gehraiyon main
Koi aag si lagay
Kia ajab hay kay tu inhi mojoun
Kay sung chalay
Aur meri aabroo in lehron main
Lut-ti rahay…

Hay sada say yehi arzoo…
Tujhay saahil bana loon
Magar main tou sagar nahi…

Inhi mojoun main utar jaaon…
Main bhi ik bhanwar ban jaaon!


  
4:17 am
7. Qaatil

Yeh hay meri kaal nagri
Aur main hoon iska farishta…
Main khuld hoon sitam ki
Wehshat ka andhera hoon

Yeh kasak meri siyahi hay
Jo meri jabeen pay…
Hay aweezaan,
Usi tarah…
Jaisay tu nay sajayaee thi
Aur jabeen muskurai thi…

Main raqabat hoon
Main sadaqat hoon
Kayee naam hain meray
Khata-kaar, saza-war…
Budgumaan bhee hoon

Main raahi hoon weerano ka
Mehektay, khwaabeeda shabistano ka
Pur fareb insaano ka…
Jo meri ibadat ki hain mairaaj
Meray jazbon ka imtizaaj…
Sajda jinhain main nay
Kayee sadion tak kiya hay
Khoorooj-e-zeest diya hay

Shor hasti main meri
Dard o shikayat ka para hay
Haan yeh waar, is gunahgar kay
Haathon say hua hay…

Aur ab beh raha hay khoon…
Najanay kioon?



4:55 am
8. Ronaq

Shaam rungeen
Pur-kaif ujalon main doobi
Nasheelay iradon main rachi…
Khushboo nazakaton ki
Rung layee hay…
Haan dekho… bahaar aye hay…

Ayeena muskura kar
Chamaktay aks say sharma gaya
Aur muattar huin dil ki galiyaan
Milan ki sej pay kaliyaan…
Waadon ki khil rahi hain
Chund saa’atain mil rahi hain…

Ulfat ki ronamai hay
Qismat ki aqda-kushai hay…
Haan dekho… bahar aye hay…

Saanson ki hakoomat
Main naya walwala macha hay
Qurbat ka ghul bapa hay…
Raqsaan hay labon pay
Muskaan dheemi dheemi…
Nayee chahaton ki aseer
Naye chehron ki taskheer…

Pur-lutf, khwaabon si hay yeh shaam
Dhalti hay jo… dheeray dheeray
Simat-ti hay libaaday main raat kay
Teray husn ki poshaak ban kar
Dilnasheen, mahjabeen umangon ki
Mutarannum awaaz ban kar…

Sehmi sehmi…
Bheegi bheegi…
Madhosh sargoshiyaan hain
Chupi chupi si…
Hay palkon main sukh ki baaz gasht
Ik nashay ki kayfiat…
Jo tujhay suhani neend ki
Waadiyon main utaar kar
Teri jannat sanwaar kar
Kasak ka naag banay gee
Mujhay raat bhar dasay gee…



5:12 am
9. Mantaq

Chaho tou rung do
Is kal main aaj apna…
Heraan…
Mujrim hoon nafrat ka
Mujh ko hay teri amaan…
Shaitaan…

Chupptay ho kioon?
Pardon main…
Unkahi rahatain, kitni qareeb
Aur tum bhee tou ho phir admi…

Kia duniya, kia hikmat?
Kia qudrat, kia muslehat…?
Jhoot…
Raasikh iraday hain
Khwahish kay piyaasay hain
Mazboot…

Yeh kamzoriaan, teri panah
Aur koi khuda nahi yahan…
Mantaq… mazhab… baatain…

Haath barhain… gardan tak puhnchain
Aur phir na rukain…

“Haan… kitna asaan hay sab tumharay liyay…
Aur faqat aik hee maqsad…
Bay dard… sard… laa-deen…
Tum say kis dua ka waseela maangoon?
Kis wafadari ka sila maangoon?
Jo na mil saka, maangoon?”
Mujhay bata meray Khuda… kia maangoon???!!?”

“Maqsad? Mantaq? Rehmat?
Qurbat? Qismat? Shiddat?
Main nahi chahta!
Main nahi chahta!
Main nahi jeeta.. hoon yahan!!”

“Aas rakho…
Kay yeh waqt bhee guzar jayega…
Naya daur ayega…
Himmat pakro…
Kay hum sab ki zindagi…
Inhi zakhmon say saji hay…”

“Dekhna aik din tum bhee
Ho gay jalwagar,
Is ubhartay sooraj ki tarah…”

“Yeh Baatain saari
Meray yaqeen say baeed hain
Jesay yeh dard mera
Tumharay ahsaas say…”

Aur tum bhee tou ho phir admi…
Aur ab yahan kuch bacha bhee nahi…
Haan ab yahan kuch bacha nahi!
Haan ab yahan koi khuda nahi…!


5:37 am
10. Zaaviyay

Tum ney dekha
Kay buland haathon main
Hay girafta
Tumhara khwaab
Aur barh chalay tum
Bay awaaz aur baydharak… us taraf

Yeh kaisi razakari hay?
Qurbat ka wajd taari hay…
Kia alam-e-bedaari hay!

Us nay dekha
Kayee chehron main runga
Uska sakoon
Uski talaash
Aur jee utha wo yoon
Zindagee ki, bekhudi ki… chah main

Yeh qismaton kay raaz hain
Kin chahaton kay saaz hain?
Yeh rung-e-kainaat hain!

Main nay dekhi
Woh roshni jo kho betha tha
Jiskay dhokay main
Kayee zukhm sajaye thay
Aur kho chala main yoon
Arzoo kay, rung-o-boo kay… saraab main

Main jafa-on ka sawali tha
Woh jazbaat say khaali tha

Kis nay dekha?
Siyaah asmaan pay jhoolta
Woh chaand?
Jiski roshni
Is bay-dili ko
Ik saaya naya day gee…
Aur neend cheen lay gee…





No comments:

Post a Comment